Untitled Song
• Written by user774478984
Shahar ke har kone mein andhera cha gaya,
K-Electric ka nizam fir se dhoka de gaya۔
Bijli ke vaade jese koi unky mou per pady,
Awam ka sabr har dafa pighalta gaya۔
Kabhi taar cut gayi, kabhi transformer jal gaya,
Aur bill ka bojh har ghar pe bharta gaya۔
Awaz uthai toh bas mili khamoshi,
Shikayat ka har darwaza bhi band ho gaya۔
Roshani key sheher ka bera gharak ho gya
Unke fareb ka rang bhi ghera hota gaya۔
Bas paison ka khail hai, service ka naam nahi،
In logon ke liye sharam ka koi kaam nahi.
K-Electric ke saaye mein bas zulm hi zulm ham,
Awam ke jazbaat ka unhein ghanta ghum hai.
Feedback & Comments
About the Artist
![](/images/default_profile.png)
user774478984
Member since January 21 2025